kaun gumaan yaqiin banaa kaun saa ghaav bhar gaya
— Pirzada Qasim
Kaun gumaan yaqeen banaa kaun saa ghaav bhar gaya
Jaise sabhee guzar ga.e 'jaun' bhee kal guzar gaya
Us kaa charaagh-e-vasl to hijr se raabte men tha
Wo bhee na jal sakaa udhar ye bhee idhar bikhar gaya
Ziist kee raunaqen tamaam us kee talaash men raheen
Aur wo gham-nazhaad 'jaun' kis ko khabar kidhar gaya
Gaam-ba-gaam ik bahisht aur wo us kee ek hasht
Raah men bhee rukaa nahin aur na apne ghar gaya
Rasm-e-supurdagee ko kab darkhur-e'tinaa kahaa
Khud se jo tha gurez-paa sab se gurez kar gaya
Us ke sukhan kaa mo.ajiza us kee nahin men dekhiye
Haan bhee hai maajraa magar 'jaun' kahaan udhar gaya
Us ko tha sakht ikhtilaaf ziist ke matn se so wo
Bar-sar-e-haashiya raha aur kamaal kar gaya
Us ke khayaal kee numood ahd-ba-ahd jaavedaan
Bas ye kaho ki 'jaun' hai ye na kaho ki mar gaya