miyaan e kaar e dunya ham se dil naashaad kya karte
— Pirzada Qasim
Miyaan-e-kaar-e-dunya ham se dil naashaad kya karte
Hamen wo yaad kab aayaa use ham yaad kya karte
Agar pahchaan apnee ik dil-e-veeraan hai to phir
Wo ham ko shaad kya aur ham use aabaad kya karte
Hamen jaldee bahut thee ishq men barbaad hone kee
So pesh-o-pas men paD ke waqt ko barbaad kya karte
Bhalaa ye aah-o-zaaree sho.abada-baazon ke bas kee hai
Fughaan e.ajaaz hotee hai fughaan eejaad kya karte
Agar ham sarf ho jaate kaheen fariyaad kee lai men
To bas lai-kaar ho sakte the ham fariyaad kya karte