nazar men nit naii hairaaniyaan liye phiriye
— Pirzada Qasim
Nazar men nit-na.ee hairaaniyaan liye phiriye
Saron pe roz nayaa aasmaan liye phiriye
Ab is fazaa kee kasaafat men kyuun izaafa ho
Ghubaar-e-dil hai so dil men nihaan liye phiriye
Yahee bachaa hai so ab ziist kee gavaahee men
Yahee nishaan-e-dil-e-be-nishaan liye phiriye
Qaraar-e-jaan to sar-e-koo-e-yaar chhoD aa.e
Mataa-e-zeest hai lekin kahaan liye phiriye
Ajab hunar hai ki daanishvaree ke paikar men
Kisee kaa zehn kisee kee zabaan liye phiriye