uth raha hai aashiyaanon se dhuaan dekhegaa kaun
— Pirzada Qasim
UTh raha hai aashiyaanon se dhuaan dekhegaa kaun
Hai magar ta.abeer khvaab-e-raa.egaan dekhegaa kaun
Jal rahi hai dil men ik aafaaq se rishte kee lau
Jaise ham dekhe hain soo-e-asmaan dekhegaa kaun
Too bahut aa.indagaan kaa kheenchtaa hai intizaar
Be-khabar wo raunaq-e-aa.indagaan dekhegaa kaun
Ek ehsaas-e-shikast-e-shab bahut raushan magar
Be-karaan is be-hisee ke darmiyaan dekhegaa kaun
Aarzoo kaa ik jahaan-e-taaza bhee manzar men hai
Main jise pahchaantaa hoon wo jahaan dekhegaa kaun
Raaste raushan bahut kartaa raha hoon zer-e-paa
Duur tak phaile hain qadmon ke nishaan dekhegaa kaun
Daad jaankaahee kee kis se paa.en ab ahl-e-hunar
Khoon-chakeedaa khaama ristee ungliyaan dekhegaa kaun
Dekhte hain sab furoo-e-shauq kee zebaa.ishen
Kam nahin Kuch ye ma.aal-e-shauq haan dekhegaa kaun
Rafta rafta ho rahegaa zakhm-e-dil kaa indimaal
Bujhte bujhte bujh hee jaa.egee fughaan dekhegaa kaun
Dekh dil men ho raha hai ik nayaa manzar tulooa
Jo idhar bikhree paDee hai kahkashaan dekhegaa kaun