wo ek khvaab jo dekhaa gaya tha ujlat men
— Pirzada Qasim
Wo ek khvaab jo dekhaa gaya tha ujlat men
Usee kaa karb sameTaa hai aaj fursat men
Ye baat sach hai ki begaar to nahin ye hayaat
Ki ham ko zakhm-e-tamannaa mile hain ujrat men
Ziyaan yahee hai ki kuch aur soojhtaa hee nahin
Bas ek dhyaan men rahte hain log shohrat men
Hunar kaho ki karaamat magar yahee hai ki ham
Khushee ko Dhaal bhee sakte hain gham kee soorat men
Zameen jiitee hai yaa sarzameen-e-dil us ne
Savaal tishna raha jashn-e-fat.h-o-nusrat men