yaad kya dast e hunar hai ki sanvartaa gaya main
— Pirzada Qasim
Yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvartaa gaya main
Us ko sochaa to use yaad hee kartaa gaya main
Is ko tahzeeb-e-junoon kahiye ki mujh se pahle
Jaise bikhre hain sabhee log bikhartaa gaya main
Naqsh kitne the ki ma.adoom hue silsila-vaar
Aur har naqsh ke pahle se ubhartaa gaya main
Ek tasveer banaa.ee thee mukammal na huee
Ek hee rang lahoo rang thaa bhartaa gaya main
Harf-e-iqraar hee kahtaa raha be-khaufee se
Ya.anee inkaar ke aashob se Dartaa gaya main
Daaman-e-vaqt se sau harf-e-sataa.ish bhee chune
Aur ilzaam sabhee vaqt pe dhartaa gaya main
Apne andar ke talaatum ne rakhaa hai aabaad
Khud hee iqraar kiyaa khud hee mukartaa gaya main
Mujh men har lamha fuzoon-tar huaa andoh-e-jamaal
Aur tasveer ke maanind sanvartaa gaya main
Har nafas baDhtaa gaya us kee tamannaa kaa kharosh
Lamha lamha isee vahshat men nikhartaa gaya main
Zindagee ku-e-malaamat hai koi kya Thahre
Apnee hee vaz.a kaa main hoon so Thahartaa gaya main