ye haadisa mujhe hairaan kar gaya sar e shaam
— Pirzada Qasim
Ye haadisa mujhe hairaan kar gaya sar-e-shaam
Jo zakhm sub.h milaa thaa wo bhar gaya sar-e-shaam
Mile the ham kaheen kaar-e-jahaan ke mele men
Use bhee jaldee thee aur main bhee ghar gaya sar-e-shaam
Ye aaj kis ko achaanak miraa khayaal aayaa
Charaagh raah men ye kaun dhar gaya sar-e-shaam
Khayaal-e-yaar kee fursat bhee ab kise hai naseeb
Ye phuul sub.h khilaa aur bikhar gaya sar-e-shaam
Tamaam din kee thakan se main bujh raha thaa magar
Kisee kee yaad kaa chehra nikhar gaya sar-e-shaam
Shab-e-firaaq kaa ahvaal yaad aa hee gaya
Phir ek tiir saa dil men utar gaya sar-e-shaam
Ye sub.h-o-shaam mire is qadar hee mere hain
Ki jee uThaa hoon sahar-dam to mar gaya sar-e-shaam