zindagii ke daaman men rang o nuur o nikhat kya

Pirzada Qasim

Zindagee ke daaman men rang-o-noor-o-nik.hat kya Khvaab hee to dekhaa hai khvaab kee haqeeqat kya Dil bhee qufl-e-abjad hai ek naam poochhe hai Jaan le to khul jaa.e aakhir is men hairat kya Aap ke ravayya par khush-gumaaniyaan kaisee Koi maslahat hogee varna ye inaayat kya Chob-e-khushk sahraa hoon aur aarzoo gul kee Saadgee se baDh kar bhee hai koi himaaqat kya Paas kaa andheraa bhee aas kaa ujaalaa bhee Log isee ko kahte hain jhuTpuTe kee saa.at kya