aao koi tafriih kaa saamaan kiyaa jaae
— Qateel Shifai
Aao koi tafreeh kaa saamaan kiyaa jaa.e
Phir se kisee vaa.iz ko pareshaan kiyaa jaa.e
Be-laghzish-e-paa mast hoon un aankhon se pee kar
Yuun mohtasib-e-shahr ko hairaan kiyaa jaa.e
Har shai se muqaddas hai khayaalaat kaa rishta
Kyuun maslahaton par use qurbaan kiyaa jaa.e
Muflis ke badan ko bhee hai chaadar kee zaroorat
Ab khul ke mazaaron pe ye elaan kiyaa jaa.e
Wo shakhs jo deevaanon kee izzat nahin kartaa
Us shakhs kaa bhee chaak garebaan kiyaa jaa.e
Pahle bhee 'qateel' aankhon ne khaa.e ka.ee dhoke
Ab aur na beenaa.ee kaa nuqsaan kiyaa jaa.e