ab to be daad pe be daad karegii Dunya
— Qateel Shifai
Ab to be-daad pe be-daad karegee Dunya
Ham na honge to hamen yaad karegee Dunya
Zindagee bhaag chalee maut ke darvaaze se
Ab qafas kaun saa eejaad karegee Dunya
Ham to haazir hain par ai silsila-e-jaur-e-qadeem
Khatm kab virsa-e-ajdaad karegee Dunya
Saamne aa.enge apnee hee wafa ke pahloo
Jab kisee aur ko barbaad karegee Dunya
Kya hue ham ki na the marg-e-bashar ke qaa.il
Log poochhenge to fariyaad karegee Dunya