actress
— Qateel Shifai
Thartharaatee rahi charaagh kee lau
Ashk palkon pe kaanp kaanp ga.e
Koee aansoo na ban sakaa taaraa
Shab ke saa.e nazar ko Dhaanp ga.e
KaT gaya waqt muskuraahaT men
Qahqahe ruuh ko pasand na the
Vo bhee aanhken churaa ga.e aakhir
Dil ke darvaaze jin pe band na the
Saunp jaataa hai mujh ko tanhaa.ee
Jis pe dil aitbaar kartaa hai
Bantee jaatee hoon nakhl-e-sahraa.ee
Too ne chaahaa to main ne maan liyaa
Ghar ko baazaar kar diyaa main ne
Bech kar apnee ek ek umang
Tujh ko zardaar kar diyaa main ne
Apnee be-chaargee pe ro ro kar
Dil tujhe yaad kartaa rahtaa hai
Qahqahon ke siyah ujaale men
Jism fariyaad kartaa rahtaa hai
Thartharaati rahi charagh ki lau
Ashk palkon pe kanp kanp gae
Koi aansu na ban saka tara
Shab ke sae nazar ko Dhanp gae
KaT gaya waqt muskurahaT mein
Qahqahe ruh ko pasand na the
Wo bhi aanhken chura gae aaKHir
Dil ke darwaze jin pe band na the
Saunp jata hai mujh ko tanhai
Jis pe dil e'tibar karta hai
Banti jati hun naKHl-e-sahrai
Tu ne chaha to main ne man liya
Ghar ko bazar kar diya main ne
Bech kar apni ek ek umang
Tujh ko zardar kar diya main ne
Apni be-chaargi pe ro ro kar
Dil tujhe yaad karta rehta hai
Qahqahon ke siyah ujale mein
Jism fariyaad karta rehta hai