ai diida e giryaan kya kahiye is pyaar bhare afsaane ko
— Qateel Shifai
Ai deeda-e-giryaan kya kahiye is pyaar-bhare afsaane ko
Ik sham.a jalee bujhne ke liye ik phuul khilaa murjhaane ko
Main apne pyaar kaa diip liye aafaaq men har-soo ghuum gaya
Tum duur kaheen jaa pahunche the aakaash pe jee bahlaane ko
Wo phuul se lamhe bhaaree hain ab yaad ke naazuk shaanon par
Jo pyaar se tum ne saunpe the aaghaaz men ik deevaane ko
Ik saath fanaa ho jaane se ik jashn to barpaa hota hai
Yuun tanhaa jalnaa Thiik nahin samjhaa.e koi parvaane ko
Main raat kaa bhed to kholoongaa jab niind na mujh ko aa.egee
Kyuun chaand sitaare aate hain har raat mujhe samjhaane ko