angdaaii par angdaaii letii hai raat judaaii ki
— Qateel Shifai
Angdhaai par Angdhaai letee hai raat judaa.ee kee
Tum kya samjho tum kya jaano baat miree tanhaa.ee kee
Kaun siyaahi ghol raha tha waqt ke bahte Dariya men
Main ne aankh jhukee dekhee hai aaj kisee harjaa.ee kee
Toot ga.e sayyaal nageene phuuT bahe rukhsaaron par
Dekho meraa saath na denaa baat hai ye rusvaa.ee kee
Vasl kee raat na jaane kyuun israar tha un ko jaane par
Waqt se pahle Doob ga.e taaron ne baDee daanaa.ee kee
Udhte Udhte aas kaa panchi duur ufuq men Doob gaya
Rote rote baith ga.ee awaaz kisee saudaai kee