apne haathon ki lakiiron men sajaa le mujh ko
— Qateel Shifai
Apne haathon kee lakeeron men sajaa le mujh ko
Main hoon teraa too naseeb apna banaa le mujh ko
Main jo kaanTaa hoon to chal mujh se bachaa kar daaman
Main hoon gar phuul to juuDe men sajaa le mujh ko
Tark-e-ulfat kee qasam bhee koi hotee hai qasam
Too kabhi yaad to kar bhoolne vaale mujh ko
Mujh se too poochhne aayaa hai wafa ke ma.anee
Ye tiree saada-dilee maar na Daale mujh ko
Main samundar bhee hoon motee bhee hoon ghota-zan bhee
Koi bhee naam miraa le ke bulaa le mujh ko
Too ne dekhaa nahin aa.eene se aage Kuch bhee
Khud-parastee men kaheen too na ganvaa le mujh ko
Baandh kar sang-e-wafa kar diyaa too ne gharqaab
Kaun aisa hai jo ab DhoonDh nikaale mujh ko
Khud ko main baanT na Daaloon kaheen daaman daaman
Kar diyaa too ne agar mere havaale mujh ko
Main khule dar ke kisee ghar kaa hoon saamaan pyaare
Too dabe-paanv kabhi aa ke churaa le mujh ko
Kal kee baat aur hai main ab saa rahoon yaa na rahoon
Jitnaa jee chaahe tiraa aaj sataa le mujh ko
Baada phir baada hai main zahr bhee pee jaaon 'qateel'
Shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko