aql badii yaa bhains ek tha raaja mehdii alii khaan ek thii us ki raanii

Qateel Shifai

Ek tha raaja mehdee alee khaan ek thee us kee raanee Raanee kee ik maan thee ya.anee bachcha log kee naanee Karnaa khuda kaa aisa huaa ik roz koi ham-saaya Raaja ke darbaar men ik chhoTee see chuhiyaa laayaa Dekhaa jab us chuhiyaa ko hairaan hue darbaaree Piitee thee wo coca-cola khaatee thee tarkaaree Angrezee men baaten kar ke filmee gaane gaatee Rang birange Dance dikhaa kar sab kaa jee bahlaatee Parde se ye manzar dekhaa jab raanee kee maan ne Sochaa ham-saa.e se le le chuhiyaa kisee bahaane BuDhiyaa ne sar piiTaa apna khuub kiyaa vaavailaa ODh liyaa phir wo dopaTTa rang tha jis kaa mailaa Kahne lagee chillaa chillaa kar raaja teree duhaa.ee Ye hai meraa chor ki is ne meree bhains churaa.ee Chheen lo is se bhainsen meree aur munh par maaro chaanTaa Dekho dekho suukh ke meree bhainsen huee hai kaanTaa Raaja mehndee alee khaan jo the raajaaon ke raaja Kaam na kuch bhee karte aaThon-pahar bajaate baajaa Garaj ke bole o mardood bataa kyuun bhains churaa.ee Ham ne to us bhains ke aage barson biin bajaa.ee Raaja kee ye baat sunee to kahne lagaa ham-saayaa Jiye wo saas ki chuhiyaa ko bhee jis ne bhains banaayaa Raaj hai teraa is nagree men khuub sazaa de mujh ko Aql baDee yaa bhains bas itnee baat bataa de mujh ko Ek tha raja mehdi ali KHan ek thi us ki rani Rani ki ek man thi yani bachcha log ki nani Karna KHuda ka aisa hua ek roz koi ham-saya Raja ke darbar mein ek chhoTi si chuhiya laya Dekha jab us chuhiya ko hairan hue darbari Piti thi wo coca-cola khati thi tarkari Angrezi mein baaten kar ke filmi gane gati Rang birange Dance dikha kar sab ka ji bahlati Parde se ye manzar dekha jab rani ki man ne Socha ham-sae se le le chuhiya kisi bahane BuDhiya ne sar piTa apna KHub kiya wawaila ODh liya phir wo dopaTTa rang tha jis ka maila Kahne lagi chilla chilla kar raja teri duhai Ye hai mera chor ki is ne meri bhains churai Chhin lo is se bhainsen meri aur munh par maro chanTa Dekho dekho sukh ke meri bhainsen hui hai kanTa Raja mehndi ali KHan jo the rajaon ke raja Kaam na kuch bhi karte aaThon-pahar bajate baja Garaj ke bole o mardud bata kyun bhains churai Hum ne to us bhains ke aage barson bin bajai Raja ki ye baat suni to kahne laga ham-saya Jiye wo sas ki chuhiya ko bhi jis ne bhains banaya Raj hai tera is nagri mein KHub saza de mujh ko Aql baDi ya bhains bas itni baat bata de mujh ko