dil ko gam e hayaat gavaaraa hai in dinon
— Qateel Shifai
Dil ko gham-e-hayaat gavaaraa hai in dinon
Pahle jo dard tha vahee chaaraa hai in dinon
Har sail-e-ashk saahil-e-taskeen hai aaj-kal
Dariya kee mauj mauj kinaaraa hai in dinon
Ye dil zaraa saa dil tiree yaadon men kho gaya
Zarre ko aandhiyon kaa sahaaraa hai in dinon
Sham.on men ab nahin hai wo pahlee see raushnee
Kya vaaqa.ee wo anjuman-aaraa hai in dinon
Tum aa sako to shab ko baDhaa duun kuch aur bhee
Apne kahe men sub.h kaa taaraa hai in dinon