duur tak chhaae the baadal aur kahiin saaya na tha

Qateel Shifai

Duur tak chhaa.e the baadal aur kaheen saaya na tha Is tarah barsaat kaa mausam kabhi aayaa na tha Surkh aahan par Tapaktee buund hai ab har khushee Zindagee ne yuun to pahle ham ko tarsaayaa na tha Kya milaa aakhir tujhe saayon ke peechhe bhaag kar Ai dil-e-naadaan tujhe kya ham ne samjhaayaa na tha Uf ye sannaaTaa ki aahaT tak na ho jis men mukhil Zindagee men is qadar ham ne sukoon paayaa na tha Khuub ro.e chhup ke ghar kee chaar-deevaaree men ham Haal-e-dil kahne ke qaabil koi ham-saaya na tha Ho ga.e qallaash jab se aas kee daulat luTee Paas apne aur to koi bhee sarmaaya na tha Wo payambar ho ki aashiq qatl-gaah-e-shauq men Taaj kaanTon kaa kise dunya ne pahnaayaa na tha Ab khulaa jhonkon ke peechhe chal rahi thiin aandhiyaan Ab jo manzar hai wo pahle to nazar aayaa na tha Sirf khushboo kee kamee thee ghaur ke qaabil 'qateel' Varna gulshan men koi bhee phuul murjhaayaa na tha