faraar ki pahlii raat naujavaan kaun hai to
— Qateel Shifai
Naujavaan kaun hai to
Aayaa hai kis nagree se
Naam kya hai tiraa
Kyaa kaam hai aakhir mujh se
Main samajhtaa hoon ki is waqt munaasib nahin aanaa teraa
Too ne kis zo.am men is waqt pukaaraa hai mujhe
Too ne kya soch ke dastak dee hai
Aaj kee shab mire so.e hue darvaaze par
Naujavaan kaun hai too
Naujavaan jo bhee hai too
Faisla soch samajh kar ye kya hai main ne
Laakh dastak koi de aaj kee raat
Ghar kaa darvaaza kisee par bhee na ab kholoongaa
Chaahe mehmaan ho yaa koi havaa kaa jhonkaa
Sach to ye hai ki mujhe
Ab to un taaza havaaon se bhee Dar lagtaa hai
Naujavaan Thiik sahee
To mujhe jaantaa hai main bhee tujhe jaantaa hoon
Thee mulaaqaat tiree aur miree aaj se barson pahle
Lekin ab us kaa ye matlab to nahin
Too samajh kar mujhe ham-umr apna
Jab bhee chaahe mire darvaaze pe de kar dastak
Ratjage mil ke manaane ke liye
Mujh ko bulaane aa jaa.e
Jaa miyaan aur kaheen mujh ko pareshaan na kar
Naujawan kaun hai to
Aaya hai kis nagri se
Nam kya hai tera
Kya kaam hai aaKHir mujh se
Main samajhta hun ki is waqt munasib nahin aana tera
Tu ne kis zoam mein is waqt pukara hai mujhe
Tu ne kya soch ke dastak di hai
Aaj ki shab mere soe hue darwaze par
Naujawan kaun hai tu
Naujawan jo bhi hai tu
Faisla soch samajh kar ye kya hai main ne
Lakh dastak koi de aaj ki raat
Ghar ka darwaza kisi par bhi na ab kholunga
Chahe mehman ho ya koi hawa ka jhonka
Sach to ye hai ki mujhe
Ab to un taza hawaon se bhi Dar lagta hai
Naujawan Thik sahi
To mujhe jaanta hai main bhi tujhe jaanta hun
Thi mulaqat teri aur meri aaj se barson pahle
Lekin ab us ka ye matlab to nahin
Tu samajh kar mujhe ham-umr apna
Jab bhi chahe mere darwaze pe de kar dastak
Ratjage mil ke manane ke liye
Mujh ko bulane aa jae
Ja miyan aur kahin mujh ko pareshan na kar