girya e mast ahbaab se chhup chhup ke bhi royaa hoon main aksar

Qateel Shifai

Ahbaab se chhup chhup ke bhee royaa hoon main aksar Par aaj bharee bazm men Rone kaa maza aur hee kuch hai Ahbaab ko hairat ki mire qahqaha-bardaar labon par Kyuun le ga.iin sabqat miree bheegee huee palken Mire tapte hue aansoo Shaayad mire ahbaab ko ma.aloom nahin hai Iz.haar masarrat kabhi hota hai jo ro kar Sau baar kaa hansnaa bhee use chhoo nahin saktaa Aansoo hain wo motee Palkon ke sadaf se jo nikalte hain usee dam Jab dil ke samundar men Khushee kaa koi toofaan bapaa ho Toofaan samaa saktaa nahin sirf hansee men Aansoo hee use apnee taraavaT men sameTen to sameTen Aansoo ki jasaamat men hain qatre se bhee kuch kam Iz.haar masarrat men samundar se baDe hain Behis mire ahbaab hain Kaash un ko bataa.e koi hamdam Haasil jo khushee aaj huee hai mire dil ko Shaayad wo tabassum men sameTee hee na jaatee HonTon pe tabassum bhee bahut khuub hai lekin Aankhon men tarashshoh kee fazaa aur hee kuch hai Us bazm men rone kaa maza aur hee kuch hai Ahbab se chhup chhup ke bhi roya hun main aksar Par aaj bhari bazm mein Rone ka maza aur hi kuch hai Ahbab ko hairat ki mere qahqaha-bardar labon par Kyun le gain sabqat meri bhigi hui palken Mere tapte hue aansu Shayad mere ahbab ko malum nahin hai Izhaar masarrat kabhi hota hai jo ro kar Sau bar ka hansna bhi use chhu nahin sakta Aansu hain wo moti Palkon ke sadaf se jo nikalte hain usi dam Jab dil ke samundar mein KHushi ka koi tufan bapa ho Tufan sama sakta nahin sirf hansi mein Aansu hi use apni tarawaT mein sameTen to sameTen Aansu ki jasamat mein hain qatre se bhi kuch kam Izhaar masarrat mein samundar se baDe hain Behis mere ahbab hain Kash un ko batae koi hamdam Hasil jo KHushi aaj hui hai mere dil ko Shayad wo tabassum mein sameTi hi na jati HonTon pe tabassum bhi bahut KHub hai lekin Aankhon mein tarashshoh ki faza aur hi kuch hai Us bazm mein rone ka maza aur hi kuch hai