haalaat ke qadmon pe qalandar nahin girtaa

Qateel Shifai

Haalaat ke qadmon pe qalandar nahin girtaa TuuTe bhee jo taaraa to zameen par nahin girtaa Girte hain samundar men baDe shauq se Dariya Lekin kisee Dariya men samundar nahin girtaa Samjho vahaan phaldaar shajar koi nahin hai Wo sahn ki jis men koi patthar nahin girtaa Itnaa to huaa faa.eda baarish kee kamee kaa Is shahr men ab koi phisal kar nahin girtaa In'aam ke laalach men likhe mad.h kisee kee Itnaa to kabhi koi sukhan-var nahin girtaa Hairaan hai ka.ee roz se Thahraa huaa paanee Taalaab men ab kyuun koi kankar nahin girtaa Us banda-e-khuddaar pe nabiyon kaa hai saaya Jo bhuuk men bhee luqma-e-tar par nahin girtaa Karnaa hai jo sar ma.arka-e-zeest to sun le Be-baazoo-e-haidar dar-e-khaibar nahin girtaa Qaa.em hai 'qateel' ab ye mire sar ke sutoon par Bhaunchaal bhee aa.e to miraa ghar nahin girtaa