ik jaam khanaktaa jaam ki saaqii raat guzarne vaalii hai
— Qateel Shifai
Ik jaam khanaktaa jaam ki saaqee raat guzarne vaalee hai
Ik hosh-rubaa in.aam ki saaqee raat guzarne vaalee hai
Wo dekh sitaaron ke motee har aan bikharte jaate hain
Aflaak pe hai kohraam ki saaqee raat guzarne vaalee hai
Go dekh chukaa hoon pahle bhee nazzaara Dariya-noshee kaa
Ek aur salaa-e-aam ki saaqee raat guzarne vaalee hai
Ye vaqt nahin hai baaton kaa palkon ke saa.e kaam men laa
Ilhaam koi ilhaam ki saaqee raat guzarne vaalee hai
Mad-hoshee men ehsaas ke oonche ziine se gir jaane de
Is vaqt na mujh ko thaam ki saaqee raat guzarne vaalee hai