jashn e aazaadii
— Qateel Shifai
Menh barastaa hai to dhartee kee nazar jhoomtee hai
Phuul khilte hain to gulshan pe nikhaar aataa hai
Lekin ai jashn-e-bahaaraan ke na.e muntazimo
Khud-farebee se kaheen dil ko qaraar aataa hai
Tum agar jashn-e-bahaaraan bhee kahoge is ko
Maut ke ghaaT ye dhoka bhee utar jaa.egaa
Baad-e-sarsar ko agar tum ne kahaa mauj-e-naseem
Is se mausam men koi farq nahin aa.egaa
Ye gulistaan ye gulistaan men sisakte ghunche
Apne a.amaal ke parde men inhen Dhaanp to lo
Eqtidaar aaj bhee sargarm-e-safar hai lekin
Be-navaaon ke iraadon ko zaraa bhaanp to lo
Aaj insaan kee azmat ne kiyaa hai elaan
Khud-farebee se koi jee ko na bahalaa.egaa
Jab tak aaraa.ish-e-gulzaar nahin ho jaatee
Kisee konpal kisee ghunche ko na chain aa.egaa
Lekin ai jashn-e-bahaaraan ke na.e muntazimo
Ye tamaashaa hamen be-kaar nazar aataa hai
Menh barastaa hai na dhartee kee nazar jhoomtee hai
Phuul khilte hain na gulshan pe nikhaar aataa hai
Meinh barasta hai to dharti ki nazar jhumti hai
Phul khilte hain to gulshan pe nikhaar aata hai
Lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
KHud-farebi se kahin dil ko qarar aata hai
Tum agar jashn-e-bahaaran bhi kahoge is ko
Maut ke ghaT ye dhoka bhi utar jaega
Baad-e-sarsar ko agar tum ne kaha mauj-e-nasim
Is se mausam mein koi farq nahin aaega
Ye gulistan ye gulistan mein sisakte ghunche
Apne aamal ke parde mein inhen Dhanp to lo
Eqtidar aaj bhi sargarm-e-safar hai lekin
Be-nawaon ke iradon ko zara bhanp to lo
Aaj insan ki azmat ne kiya hai elan
KHud-farebi se koi ji ko na bahalaega
Jab tak aaraish-e-gulzar nahin ho jati
Kisi konpal kisi ghunche ko na chain aaega
Lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
Ye tamasha hamein be-kar nazar aata hai
Meinh barasta hai na dharti ki nazar jhumti hai
Phul khilte hain na gulshan pe nikhaar aata hai