kiyaa hai pyaar jise ham ne zindagii ki tarah
— Qateel Shifai
Kiyaa hai pyaar jise ham ne zindagee kee tarah
Wo aashnaa bhee milaa ham se ajnabee kee tarah
Kise khabar thee baDhegee Kuch aur taareekee
Chhupegaa wo kisee badlee men chaandnee kee tarah
BaDhaa ke pyaas miree us ne haath chhoD diyaa
Wo kar raha thaa muravvat bhee dil-lagee kee tarah
Sitam to ye hai ki wo bhee na ban sakaa apna
Qubool ham ne kiye jis ke gham khushee kee tarah
Kabhi na sochaa thaa ham ne 'qateel' us ke liye
Karegaa ham pe sitam wo bhee har kisee kee tarah