ludhaktaa patthar

Qateel Shifai

Raushnee Doob ga.ee chaand ne munh Dhaanp liyaa Ab koi raah dikhaa.ee nahin detee mujh ko Mere ehsaas men kohraam machaa hai lekin Koee awaaz sunaa.ee nahin detee mujh ko Raat ke haath ne kirnon kaa galaa ghoonT diyaa Jaise ho jaa.e zameen-bos shivaala koi Ye ghaTaa-Top andheraa ye ghanaa sannaaTaa Ab koi giit hai baaqee na ujaalaa koi Jis ne chhup-chhup ke jalaayaa miree ummeedon ko Vo sulagtee huee ThanDak mire ghar tak pahunchee Dekhte dekhte sailaab-e-havas phail gaya Mauj-e-paayaab ubhar kar mire sar tak pahunchee Mire taareek gharaunde ko udaasee de kar Muskuraate hain dareechon men ishaare kya kya Uf ye ummeed kaa madfan ye mohabbat kaa mazaar Is men dekhe hain tabaahee ke nazaare kya kya Jis ne aa.ankhon men sitaare se kabhi ghole the Aaj ehsaas pe kaajal saa bikheraa us ne Jis ne khud aa ke TaTolaa tha mire siine ko Le liyaa ghair ke pahloo men baseraa us ne Vo talavvun ki nahin jis kaa Thikaana koi Us ke andaaz-e-kuhan aaj na.e taur ke hain Vahee bebaak ishaare vahee bhaDke hue giit Kal mire haath bike aaj kisee aur ke hain Vo mahaktaa saa chahaktaa saa ubaltaa siina Us kee mee.aad hai do roz lipaTne ke liye Zulf bikhree huee bikhree to nahin rah saktee Phailtaa hai koi saaya to simaTne ke liye Raushni Dub gai chand ne munh Dhanp liya Ab koi rah dikhai nahin deti mujh ko Mere ehsas mein kohram macha hai lekin Koi aawaz sunai nahin deti mujh ko Raat ke hath ne kirnon ka gala ghunT diya Jaise ho jae zamin-bos shiwala koi Ye ghaTa-Top andhera ye ghana sannaTa Ab koi git hai baqi na ujala koi Jis ne chhup-chhup ke jalaya meri ummidon ko Wo sulagti hui ThanDak mere ghar tak pahunchi Dekhte dekhte sailab-e-hawas phail gaya Mauj-e-payab ubhar kar mere sar tak pahunchi Mere tarik gharaunde ko udasi de kar Muskuraate hain darichon mein ishaare kya kya Uf ye ummid ka madfan ye mohabbat ka mazar Is mein dekhe hain tabahi ke nazare kya kya Jis ne aaankhon mein sitare se kabhi ghole the Aaj ehsas pe kajal sa bikhera us ne Jis ne KHud aa ke TaTola tha mere sine ko Le liya ghair ke pahlu mein basera us ne Wo talawwun ki nahin jis ka Thikana koi Us ke andaz-e-kuhan aaj nae taur ke hain Wahi bebak ishaare wahi bhaDke hue git Kal mere hath bike aaj kisi aur ke hain Wo mahakta sa chahakta sa ubalta sina Us ki miad hai do roz lipaTne ke liye Zulf bikhri hui bikhri to nahin rah sakti Phailta hai koi saya to simaTne ke liye