meri tarah
— Qateel Shifai
Ai mire dushman-e-jaan
Main tujhe aur to kuch kah nahin saktaa lekin
Kaash taqdeer kabhi tujh ko dikhaa.e wo din
Jab mohazzab see tavaa.if koi
Apne peshe kee mazammat kar ke
Tujh se iz.haar-e-mohabbat kar ke
Tere a.asaab pe nashshe kee tarah chhaa jaa.e
Aur tujhe
Us kee mohabbat kaa yaqeen aa jaa.e
Ai mire dushman-e-jaan
Ai mere dushman-e-jaan
Main tujhe aur to kuch kah nahin sakta lekin
Kash taqdir kabhi tujh ko dikhae wo din
Jab mohazzab si tawaif koi
Apne peshe ki mazammat kar ke
Tujh se izhaar-e-mohabbat kar ke
Tere aasab pe nashshe ki tarah chha jae
Aur tujhe
Us ki mohabbat ka yaqin aa jae
Ai mere dushman-e-jaan