mil kar judaa hue to na soyaa karenge ham
— Qateel Shifai
Mil kar judaa hue to na soyaa karenge ham
Ik doosre kee yaad men royaa karenge ham
Aansoo jhalak jhalak ke sataa.enge raat bhar
Motee palak palak men piroyaa karenge ham
Jab dooriyon kee aag dilon ko jalaa.egee
Jismon ko chaandnee men bhigoyaa karenge ham
Bin kar har ek bazm kaa mauzoo-e-guftugoo
Sheron men tere gham ko samoyaa karenge ham
Majbooriyon ke zahr se kar lenge khud-kushee
Ye buzdilee kaa jurm bhee goyaa karenge ham
Dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar
Ab chaahaton ke biij na boyaa karenge ham
Gar de gaya daghaa hamen toofaan bhee 'qateel'
Saahil pe kashtiyon ko Duboyaa karenge ham