raaste yaad nahin raah numaa yaad nahin

Qateel Shifai

Raaste yaad nahin raah-numaa yaad nahin Ab mujhe Kuch tiree galiyon ke sivaa yaad nahin Phir khayaalon men wo biite hue saavan aa.e Lekin ab tujh ko papeehe kee sadaa yaad nahin Ek va.ada thaa jo sheeshe kee tarah Toot gaya Haadisa kab ye huaa kaise huaa yaad nahin Ham diyaa karte the aghyaar ko ta.ana jin kaa Ab to ham ko bhee wo aadaab-e-wafa yaad nahin Vaz.a-daaree se hai majboor miraa pyaar 'qateel' Sab puraane hain koi daagh nayaa yaad nahin