raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaon men
— Qateel Shifai
Raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaon men
Ham ne khush ho ke bhanvar baandh liye paanv men
Un ko bhee hai kisee bheege hue manzar kee talaash
Buund tak bhee na bo sake jo kabhi sahraaon men
A mire ham-safaro tum bhee thake-haare ho
Dhoop kee tum to milaavaT na karo Chaaon men
Jo bhee aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj
BaT na jaa.e tiraa beemaar maseehaaon men
Hausla kis men hai yoosuf kee khareedaaree kaa
Ab to mahngaa.ee ke charche hain zulekhaaon men
Jis barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai
Us ko dafnaao mire haath kee rekhaaon men
Wo khuda hai kisee TuuTe hue dil men hogaa
Masjidon men use DhoonDo na kaleesaaon men
Ham ko aapas men mohabbat nahin karne dete
Ik yahee aib hai is shahr ke daanaaon men
Mujh se karte hain 'qateel' is liye kuch log hasad
Kyuun mire sher hain maqbool haseenaaon men