sharminda unhen aur bhi ai mere khuda kar
— Qateel Shifai
Sharminda unhen aur bhee ai mere khuda kar
Dastaar jinhen dee hai unhen sar bhee ataa kar
LuuTaa hai sadaa jis ne hamen dost banaa kar
Ham khush hain usee shakhs se phir haath milaa kar
Dar hai ki na le jaa.e wo ham ko bhee churaa kar
Ham laa.e hain ghar men jise mehmaan banaa kar
Ik mauj dabe paanv ta.aaqub men chalee aa.ee
Ham khush the bahut ret kee deevaar banaa kar
Ham chaahen ki mil jaa.en hamen Dher se motee
SeeDhee kisee pur-haul samundar men lagaa kar
Darkaar ujaalaa hai magar sahme hue hain
Kar de na andheraa koi baarood jalaa kar
Le is ne tiraa kaasa-e-jaan toD hee Daalaa
Jaa koocha-e-qaatil men 'qateel' aur sadaa kar