siskiyaan letii huii gamgiin havaao chup raho

Qateel Shifai

Siskiyaan letee huee ghamgeen havaao chup raho So rahe hain dard un ko mat jagaao chup raho Raat kaa patthar na pighlegaa shuaaon ke baghair Sub.h hone tak na bolo ham-navaao chup raho Band hain sab mai-kade saaqee bane hain mohtasib Ai garajtee goonjtee kaalee ghataao chup raho Tum ko hai maaloom aakhir kaun saa mausam hai ye Fasl-e-gul aane talak ai khush-navaao chup raho Soch kee deevaar se lag kar hain gham baiThe hue Dil men bhee naghma na koi gungunaao chup raho ChhaT ga.e haalaat ke baadal to dekhaa jaa.egaa Vaqt se pahle andhere men na jaao chup raho Dekh lenaa ghar se niklegaa na ham-saaya koi Ai mire yaaro mire dard-aashnaao chup raho Kyuun shareek-e-gham banaate ho kisee ko ai 'qateel' Apnee suulee apne kaandhe par uThaao chup raho