tere khaton ki khushbuu
— Qateel Shifai
Tere khaton kee khushboo
Haathon men bas ga.ee hai saanson men rach rahi hai
Khvaabon kee vus.aton men ik dhuum mach rahi hai
Jazbaat ke gulistaan mahkaa rahi hai har soo
Tere khaton kee khushboo
Tere khaton kee mujh par kya kya inaayaten hain
Be-mudda.aa karam hai bejaa shikaayaten hain
Apne hee qahqahon par barsaa rahi hai aansoo
Tere khaton kee khushboo
Teree zabaan ban kar aksar mujhe sunaa.e
Baaten banee banaa.ee jumle raTe-raTaa.e
Mujh par bhee kar chukee hai apnee wafa kaa jaadoo
Tere khaton kee khushboo
Samjhe hain kuch usee ne aadaab chaahaton ke
Sab ke liye vahee hain alqaab chaahaton ke
Sab ke liye baraabar phailaa rahi hai baazoo
Tere khaton kee khushboo
Apne sivaa kisee ko main jaantaa nahin tha
Suntaa tha laakh baaten aur maantaa nahin tha
Ab khud nikaal laa.ee begaanagee ke pahloo
Tere khaton kee khushboo
Kyaa jaane kis taraf ko chupke se muD chukee hai
Gulshan ke par lagaa kar sahraa ko uD chalee hai
Rokaa hazaar main ne aa.ee magar na qaaboo
Tere khaton kee khushboo
Tere KHaton ki KHushbu
Hathon mein bas gai hai sanson mein rach rahi hai
KHwabon ki wusaton mein ek dhum mach rahi hai
Jazbaat ke gulistan mahka rahi hai har su
Tere KHaton ki KHushbu
Tere KHaton ki mujh par kya kya inayaten hain
Be-muddaa karam hai beja shikayaten hain
Apne hi qahqahon par barsa rahi hai aansu
Tere KHaton ki KHushbu
Teri zaban ban kar aksar mujhe sunae
Baaten bani banai jumle raTe-raTae
Mujh par bhi kar chuki hai apni wafa ka jadu
Tere KHaton ki KHushbu
Samjhe hain kuch usi ne aadab chahaton ke
Sab ke liye wahi hain alqab chahaton ke
Sab ke liye barabar phaila rahi hai bazu
Tere KHaton ki KHushbu
Apne siwa kisi ko main jaanta nahin tha
Sunta tha lakh baaten aur manta nahin tha
Ab KHud nikal lai beganagi ke pahlu
Tere KHaton ki KHushbu
Kya jaane kis taraf ko chupke se muD chuki hai
Gulshan ke par laga kar sahra ko uD chali hai
Roka hazar main ne aai magar na qabu
Tere KHaton ki KHushbu