tum puuchho aur main na bataauun aise to haalaat nahin

Qateel Shifai

Tum poochho aur main na bataa.oon aise to haalaat nahin Ek zaraa saa dil TuuTaa hai aur to koi baat nahin Kis ko khabar thee saanvle baadal bin barse uD jaate hain Saavan aayaa lekin apnee qismat men barsaat nahin Toot gaya jab dil to phir ye saans kaa naghma kya ma.anee Guunj rahi hai kyuun shahnaa.ee jab koi baaraat nahin Gham ke andhiyaare men tujh ko apna saathee kyuun samjhoon Too phir too hai meraa to saaya bhee mere saath nahin Maanaa jeevan men aurat ik baar mohabbat kartee hai Lekin mujh ko ye to bataa de kya too aurat zaat nahin Khatm huaa meraa fasaana ab ye aansoo ponchh bhee lo Jis men koi taaraa chamke aaj kee raat wo raat nahin Mere ghamgeen hone par ahbaab hain yuun hairaan 'qateel' Jaise main patthar hoon mere siine men jazbaat nahin