us par tumhaare pyaar kaa ilzaam bhi to hai
— Qateel Shifai
Us par tumhaare pyaar kaa ilzaam bhee to hai
Achchhaa sahee 'qateel' pa badnaam bhee to hai
Aankhen har ik haseen kee be-faiz to nahin
Kuch saagaron men baada-e-gulfaam bhee to hai
Palkon pe ab nahin hai wo pahlaa saa baar-e-gham
Rone ke ba.ad Kuch hamen aaraam bhee to hai
Aakhir buree hai kya dil-e-naakaam kee khalish
Saath us ke ek lazzat-e-be-naam bhee to hai
Kar to liyaa hai qasd ibaadat kee raat kaa
Raste men jhoomtee huee ik shaam bhee to hai
Ham jaante hain jis ko kisee aur naam se
Ik naam us kaa gardish-e-ayyaam bhee to hai
A tishna-kaam-e-shauq ise aazmaa ke dekh
Wo aankh sirf aankh nahin jaam bhee to hai
Munkir nahin koi bhee wafa kaa magar 'qateel'
Dunya ke saamne miraa anjaam bhee to hai