use manaa kar guruur us kaa badhaa na denaa
— Qateel Shifai
Use manaa kar ghuroor us kaa baDhaa na denaa
Wo saamne aa.e bhee to us ko sadaa na denaa
Khuloos ko jo khushaamadon men shumaar kar len
Tum aise logon ko tohfatan bhee wafa na denaa
Wo jis kee Thokar men ho sambhalne kaa dars shaamil
Tum aise patthar ko raaste se haTaa na denaa
Sazaa gunaahon kee denaa us ko zaroor lekin
Wo aadmee hai tum us kee azmat ghaTaa na denaa
Jahaan rifaaqat ho fitna-pardaaz maulvee kee
Bahisht aisi kisee ko mere khuda na denaa
'qateel' mujh ko yahee sikhaayaa mire nabee ne
Ki fat.h paa kar bhee dushmanon ko sazaa na denaa