yaaro kahaan tak aur mohabbat nibhaauun main

Qateel Shifai

Yaaro kahaan tak aur mohabbat nibhaa.oon main Do mujh ko bad-duaa ki use bhuul jaaon main Dil to jalaa kiyaa hai wo sho.ala saa aadmee Ab kis ko chhoo ke haath bhee apna jalaa.oon main Suntaa hoon ab kisee se wafa kar raha hai wo Ai zindagee khushee se kaheen mar na jaaon main Ik shab bhee vasl kee na miraa saath de sakee Ahd-e-firaaq aa ki tujhe aazmaa.oon main Badnaam mere qatl se tanhaa too hee na ho Laa apnee mohr bhee sar-e-mahzar lagaa.oon main Utraa hai baam se koi ilhaam kee tarah Jee chaahtaa hai saaree zameen ko sajaa.oon main Us jaisaa naam rakh ke agar aa.e maut bhee Hans kar use 'qateel' gale se lagaa.oon main