yaaro kisi qaatil se kabhi pyaar na maango
— Qateel Shifai
Yaaro kisee qaatil se kabhi pyaar na maango
Apne hee gale ke liye talvaar na maango
Gir jaaoge tum apne maseehaa kee nazar se
Mar kar bhee ilaaj-e-dil-e-beemaar na maango
Khul jaa.egaa is tarah nigaahon kaa bharam bhee
KaanTon se kabhi phuul kee mahkaar na maango
Sach baat pe miltaa hai sadaa zahr kaa pyaala
Jiinaa hai to phir jiine kaa iz.haar na maango
Us chiiz kaa kya zikr jo mumkin hee nahin hai
Sahraa men kabhi saaya-e-deevaar na maango