ye kis ne kahaa tum kuuch karo baaten na banaao inshaa ji
— Qateel Shifai
Ye kis ne kahaa tum kuuch karo baaten na banaao inshaa-jee
Ye shahr tumhaaraa apna hai ise chhoD na jaao inshaa-jee
Jitne bhee yahaan ke baasee hain sab ke sab tum se pyaar karen
Kya un se bhee munh pheroge ye zulm na Dhaao inshaa-jee
Kya soch ke tum ne seenchee thee ye kesar kyaaree chaahat kee
Tum jin ko hansaane aa.e the un ko na rulaao inshaa-jee
Tum laakh siyaahat ke ho dhanee ik baat hamaaree bhee maano
Koi jaa ke jahaan se aataa nahin us des na jaao inshaa-jee
Bikhraate ho sonaa harfon kaa tum chaandee jaise kaaghaz par
Phir in men apne zakhmon kaa mat zahr milaao inshaa-jee
Ik raat to kya wo hashr talak rakkhegee khulaa darvaaze ko
Kab lauT ke tum ghar aaoge sajnee ko bataao inshaa-jee
Nahin sirf 'qateel' kee baat yahaan kaheen 'saahir' hai kaheen 'aalee' hai
Tum apne puraane yaaron se daaman na chuDaao inshaa-jee