ye moajiza bhi mohabbat kabhi dikhaae mujhe
— Qateel Shifai
Ye mo.ajiza bhee mohabbat kabhi dikhaa.e mujhe
Ki sang tujh pe gire aur zakhm aa.e mujhe
Main apne paanv tale raundtaa hoon saa.e ko
Badan miraa hee sahee dopahar na bhaa.e mujhe
Ba-rang-e-ood milegee use miree khushboo
Wo jab bhee chaahe baDe shauq se jalaa.e mujhe
Main ghar se teree tamannaa pahan ke jab nikloon
Barahna shahr men koi nazar na aa.e mujhe
Vahee to sab se ziyaada hai nukta-cheen meraa
Jo muskuraa ke hamesha gale lagaa.e mujhe
Main apne dil se nikaaloon khayaal kis kis kaa
Jo too nahin to koi aur yaad aa.e mujhe
Zamaana dard ke sahraa tak aaj le aayaa
Guzaar kar tiree zulfon ke saa.e saa.e mujhe
Wo meraa dost hai saare jahaan ko hai ma.aloom
Daghaa kare wo kisee se to sharm aa.e mujhe
Wo mehrbaan hai to iqraar kyuun nahin kartaa
Wo bad-gumaan hai to sau baar aazmaa.e mujhe
Main apnee zaat men neelaam ho raha hoon 'qateel'
Gham-e-hayaat se kah do khareed laa.e mujhe