aankh men paanii rakho honton pe chingaarii rakho
— Rahat Indori
Aankh men paanee rakho honTon pe chingaaree rakho
Zinda rahnaa hai to tarkeeben bahut saaree rakho
Raah ke patthar se baDh kar Kuch nahin hain manzilen
Raaste awaaz dete hain safar jaaree rakho
Ek hee naddee ke hain ye do kinaare dosto
Dostaana zindagee se maut se yaaree rakho
Aate jaate pal ye kahte hain hamaare kaan men
Kuuch kaa ailaan hone ko hai tayyaaree rakho
Ye zarooree hai ki aankhon kaa bharam qaa.em rahe
Niind rakho yaa na rakho khvaab meyaaree rakho
Ye havaa.en uD na jaa.en le ke kaaghaz kaa badan
Dosto mujh par koi patthar zaraa bhaaree rakho
Le to aa.e shaa.iree baazaar men 'raahat' miyaan
Kya zarooree hai ki lahje ko bhee baazaaree rakho