ab apnii ruuh ke chhaalon kaa Kuch hisaab karoon
— Rahat Indori
Ab apnee ruuh ke chhaalon kaa Kuch hisaab karoon
Main chaahtaa thaa charaaghon ko aaftaab karoon
Mujhe buton se ijaazat agar kabhi mil jaa.e
To shahr-bhar ke khudaaon ko be-naqaab karoon
Us aadmee ko bas ik dhun savaar rahtee hai
Bahut haseen hai Dunya ise kharaab karoon
Hai mere chaaron taraf bhiiD goonge bahron kee
Kise khateeb banaa.oon kise khitaab karoon
Main karvaTon ke na.e zaa.iqe likhoon shab-bhar
Ye 'ishq hai to kahaan zindagee 'azaab karoon
Ye zindagee jo mujhe qarz-daar kartee rahi
Kaheen akele men mil jaa.e to hisaab karoon