charaagon kaa gharaanaa chal raha hai
— Rahat Indori
Charaaghon kaa gharaanaa chal raha hai
Havaa se dostaana chal raha hai
Javaanee kee havaa.en chal rahi hain
Buzurgon kaa khazaana chal raha hai
Miree gum-gashtagee par hansne vaalo
Mire peechhe zamaana chal raha hai
Abhee ham zindagee se mil na paa.e
Ta.aaruf ghaa.ebaana chal raha hai
Na.e kirdaar aate jaa rahe hain
Magar naaTak puraanaa chal raha hai
Vahee Dunya vahee saansen vahee ham
Vahee sab Kuch puraanaa chal raha hai
Ziyaada kya tavaqqo.a ho ghazal se
Miyaan bas aab-o-daana chal raha hai
Samundar se kisee din phir milenge
Abhee peenaa-pilaanaa chal raha hai
Vahee mahshar vahee milne kaa va.ada
Vahee booDhaa bahaanaa chal raha hai
Yahaan ik madrasa hota thaa pahle
Magar ab kaarkhaana chal raha hai