faisle lamhaat ke naslon pe bhaarii ho gae

Rahat Indori

Faisle lamhaat ke naslon pe bhaaree ho ga.e Baap haakim thaa magar beTe bhikaaree ho ga.e Deviyaan pahuncheen thiin apne baal bikhraa.e hue Devtaa mandir se nikle aur pujaaree ho ga.e Raushnee kee jang men taareekiyaan paidaa huiin Chaand paagal ho gaya taare bhikaaree ho ga.e Rakh diye jaa.enge neze lafz aur honTon ke biich Zill-e-sub.haanee ke ahkaamaat jaaree ho ga.e Narm-o-naazuk halke-phulke ruuee jaise khvaab the Aansuon men bheegne ke ba.ad bhaaree ho ga.e