ghar se ye soch ke niklaa hoon ki mar jaanaa hai

Rahat Indori

Ghar se ye soch ke niklaa hoon ki mar jaanaa hai Ab koi raah dikhaa de ki kidhar jaanaa hai Jism se saath nibhaane kee mat ummeed rakho Is musaafir ko to raste men Thahar jaanaa hai Maut lamhe kee sadaa zindagee umron kee pukaar Main yahee soch ke zinda hoon ki mar jaanaa hai Nashsha aisa thaa ki mai-khaane ko Dunya samjhaa Hosh aayaa to khayaal aayaa ki ghar jaanaa hai Mire jazbe kee baDee qadr hai logon men magar Mere jazbe ko mire saath hee mar jaanaa hai