kaalii raaton ko bhi rangiin kahaa hai main ne

Rahat Indori

Kaalee raaton ko bhee rangeen kahaa hai main ne Teree har baat pe aameen kahaa hai main ne Teree dastaar pe tanqeed kee himmat to nahin Apnee paa-posh ko qaaleen kahaa hai main ne Maslahat kahiye use yaa ki siyaasat kahiye Chiil kavvon ko bhee shaaheen kahaa hai main ne Zaa.iqe baarhaa aankhon men mazaa dete hain Ba.az chehron ko bhee namkeen kahaa hai main ne Too ne fan kee nahin shajre kee himaayat kee hai Tere e.azaaz ko tauheen kahaa hai main ne