kaam sab gair zaruurii hain jo sab karte hain
— Rahat Indori
Kaam sab ghair-zarooree hain jo sab karte hain
Aur ham kuch nahin karte hain ghazab karte hain
Aap kee nazron men suraj kee hai jitnee azmat
Ham charaaghon kaa bhee utnaa hee adab karte hain
Ham pe haakim kaa koi hukm nahin chaltaa hai
Ham qalandar hain shahanshaah laqab karte hain
Dekhiye jis ko use dhun hai maseehaa.ee kee
Aaj kal shahr ke beemaar matab karte hain
Khud ko patthar saa banaa rakkhaa hai kuch logon ne
Bol sakte hain magar baat hee kab karte hain
Ek ik pal ko kitaabon kee tarah paDhne lage
Umr bhar jo na kiyaa ham ne wo ab karte hain