sisaktii rut ko mahaktaa gulaab kar duungaa
— Rahat Indori
Sisaktee rut ko mahaktaa gulaab kar doongaa
Main is bahaar men sab kaa hisaab kar doongaa
Main intizaar men hoon too koi savaal to kar
Yaqeen rakh main tujhe laa-javaab kar doongaa
Hazaar pardon men khud ko chhupaa ke baith magar
Tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar doongaa
Mujhe bharosa hai apne lahoo ke qatron par
Main neze neze ko shaakh-e-gulaab kar doongaa
Mujhe yaqeen ki mahfil kee raushnee hoon main
Use ye khauf ki mahfil kharaab kar doongaa
Mujhe gilaas ke andar hee qaid rakh varna
Main saare shahr kaa paanee sharaab kar doongaa
Mahaajanon se kaho thoDaa intizaar karen
Sharaab-khaane se aa kar hisaab kar doongaa