ye sard raaten bhi ban kar Abhi dhuaan ud jaaen
— Rahat Indori
Ye sard raaten bhee ban kar abhee dhuaan uD jaa.en
Wo ik lihaaf main oDhoon to sardiyaan uD jaa.en
Khuda kaa shukr ki meraa makaan salaamat hai
Hain utnee tez havaa.en ki bastiyaan uD jaa.en
Zameen se ek ta.alluq ne baandh rakkhaa hai
Badan men Khoon nahin ho to haDDiyaan uD jaa.en
Bikhar bikhar see ga.ee hai kitaab saanson kee
Ye kaaghzaat khuda jaane kab kahaan uD jaa.en
Rahe khayaal ki majzoob-e-ishq hain ham log
Agar zameen se phoonken to aasmaan uD jaa.en
Havaa.en baaz kahaan aatee hain sharaarat se
Saron pe haath na rakkhen to pagDiyaan uD jaa.en
Bahut ghuroor hai Dariya ko apne hone par
Jo meree pyaas se uljhe to dhajjiyaan uD jaa.en