agar bazm e hasti men aurat na hotii
— Saghar Siddiqui
Agar bazm-e-hastee men aurat na hotee
Khayaalon kee rangeen jannat na hotee
Sitaaron ke dilkash fasaane na hote
Bahaaron kee naazuk haqeeqat na hotee
Jabeenon pe noor-e-masarrat na khiltaa
Nigaahon men shaan-e-muravvat na hotee
GhaTaaon kee aamad ko saavan taraste
Fazaaon men bahkee baghaavat na hotee
Faqeeron ko irfaan-e-hastee na miltaa
Ataa zaahidon ko ibaadat na hotee
Musaafir sadaa manzilon par bhaTakte
Safeenon ko saahil kee qurbat na hotee
Har ik phuul kaa rang pheekaa saa rahtaa
Naseem-e-bahaaraan men nik.hat na hotee
Khudaa.ee kaa insaaf khaamosh rahtaa
Sunaa hai kisee kee shafaa.at na hotee
Agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
KHayalon ki rangin jannat na hoti
Sitaron ke dilkash fasane na hote
Bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti
Jabinon pe nur-e-masarrat na khilta
Nigahon mein shan-e-murawwat na hoti
GhaTaon ki aamad ko sawan taraste
Fazaon mein bahki baghawat na hoti
Faqiron ko irfan-e-hasti na milta
Ata zahidon ko ibaadat na hoti
Musafir sada manzilon par bhaTakte
Safinon ko sahil ki qurbat na hoti
Har ek phul ka rang phika sa rehta
Nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti
KHudai ka insaf KHamosh rehta
Suna hai kisi ki shafaat na hoti