ek waada hai kisi kaa jo wafa hota nahin
— Saghar Siddiqui
Ek va.ada hai kisee kaa jo wafa hota nahin
Varna in taaron bharee raaton men kya hota nahin
Jee men aataa hai ulaT den un ke chehre se naqaab
Hausla karte hain lekin hausla hota nahin
Sham.a jis kee aabroo par jaan de de jhuum kar
Vo patingaa jal to jaataa hai fanaa hota nahin
Ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazaara band hai
Ab to un kaa tuur par bhee saamnaa hota nahin
Har shanaavar ko nahin miltaa talaatum se khiraaj
Har safeene kaa muhaafiz naakhudaa hota nahin
Har bhikaaree paa nahin saktaa maqaam-e-khvaajgee
Har kas-o-naa-kas ko teraa gham ataa hota nahin
Haa.e ye begaanagee apnee nahin mujh ko khabar
Haa.e ye aalam ki too dil se judaa hota nahin
Baarhaa dekhaa hai 'saaghar' rahguzaar-e-ishq men
Kaarvaan ke saath aksar rahnumaa hota nahin
Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
Warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin
Ji mein aata hai ulaT den un ke chehre se naqab
Hausla karte hain lekin hausla hota nahin
Shama jis ki aabru par jaan de de jhum kar
Wo patinga jal to jata hai fana hota nahin
Ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazara band hai
Ab to un ka tur par bhi samna hota nahin
Har shanawar ko nahin milta talatum se KHiraj
Har safine ka muhafiz naKHuda hota nahin
Har bhikari pa nahin sakta maqam-e-KHwajgi
Har kas-o-na-kas ko tera gham ata hota nahin
Hae ye beganagi apni nahin mujh ko KHabar
Hae ye aalam ki tu dil se juda hota nahin
Barha dekha hai 'saghar' rahguzar-e-ishq mein
Karwan ke sath aksar rahnuma hota nahin