hai duaa yaad magar harf e duaa yaad nahin

Saghar Siddiqui

Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahin Mere naghmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahin Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak dee hai Main wo saa.il hoon jise koi sadaa yaad nahin Main ne jin ke liye raahon men bichhaayaa thaa lahoo Ham se kahte hain vahee ahd-e-wafa yaad nahin Kaise bhar aa.iin sar-e-shaam kisee kee aankhen Kaise tharraa.ee charaaghon kee ziyaa yaad nahin Sirf dhundlaa.e sitaaron kee chamak dekhee hai Kab huaa kaun huaa kis se khafaa yaad nahin Zindagee jabr-e-musalsal kee tarah kaaTee hai Jaane kis jurm kee paa.ee hai sazaa yaad nahin Aao ik sajda karen aalam-e-mad.hoshee men Log kahte hain ki 'saaghar' ko khuda yaad nahin Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin Mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin Main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai Main wo sail hun jise koi sada yaad nahin Main ne jin ke liye rahon mein bichhaya tha lahu Hum se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin Kaise bhar aain sar-e-sham kisi ki aankhen Kaise tharrai charaghon ki ziya yaad nahin Sirf dhundlae sitaron ki chamak dekhi hai Kab hua kaun hua kis se KHafa yaad nahin Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaTi hai Jaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin Aao ek sajda karen aalam-e-madhoshi mein Log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin